Sab say pehlay 3 bar hath wash karay,ager bartan may pani hai to kisi cup say pani lain ta k ap ka hath pani ko na lagy,warna pani mustamel ho jae ga ur ghusal nhe ho ga,phir istanja karian, phir jism pe gandgi lagi ho to saf karain, phir wazu kren, wazu kay duran mouth ur nose may achi tarah pani dalain q k ye fraiz hain , phir 3 dafa daaein kandhay par pani dalain phr 3 dafa baaein kandhay per ,sath sath hatoun say maltay jain phr sr per 3 dafa pani dalain ur hatoun say maltay jain,pher poray jsim per.is tyrha ghusal ho jai ga.....
Daily Hadees
Tuesday, 12 March 2013
GHUSAL KA MASNON TARIQA
Sab say pehlay 3 bar hath wash karay,ager bartan may pani hai to kisi cup say pani lain ta k ap ka hath pani ko na lagy,warna pani mustamel ho jae ga ur ghusal nhe ho ga,phir istanja karian, phir jism pe gandgi lagi ho to saf karain, phir wazu kren, wazu kay duran mouth ur nose may achi tarah pani dalain q k ye fraiz hain , phir 3 dafa daaein kandhay par pani dalain phr 3 dafa baaein kandhay per ,sath sath hatoun say maltay jain phr sr per 3 dafa pani dalain ur hatoun say maltay jain,pher poray jsim per.is tyrha ghusal ho jai ga.....
Tuesday, 5 March 2013
GHUSAL K FRAIZ
"HADEES"
Ghusal kay 3 Fraiz hain.
1)Kuli krna:
Mu k ander har har jaga aur halq tk pani pouchana zrori hy.Roza na ho to gharara krain aur khob mubailgha kren.
2)Nak mein naram hadi tak pani pouchna zrori hay.
3)Sary jism ko sir say lay ker paon tak achi trha dhona k koi b bal khushk na rahe.
Monday, 4 March 2013
GUNAHON SE ROKNA
HADEES
Jab log gunah kartay hue daikhen aur usay badalnay ki koshish na karain ,to anqareeb in sab ko ALLAH ka azab ghair lay ga......
(MUSNAD-E-AHMAD J#1,H#1)
Sunday, 3 March 2013
MUSILMANON K HAQOQ
HADEES
Musilman kay musilman kay zima 6 haqoq hain.
1:Mulaqat ho to salam karay.
2:dawat day to qabool karay .
3:cheenk ka jawab day (yeni jab cheenknay wala ALHUM DO LILLAH kahy to jawab may YA RHAMU KALLAH kahy)
4:bimar ho to ayadat karay.
5:fot ho jaiy to us kay janazay kay sath jaiy.
6:us kay liye bhe wohi pasand karay jo apnay liay pasand karta hai.
(JAMIA TIRAMZI J#2, H#647)
Saturday, 2 March 2013
ALLAH SAY APNAY GNHAOUN KI TOBA KERNA
HADEES
Allah say mafi mango aur us ki traf toba karo, q k jab banda apnay qasoor per nadim ho kr toba istaghfar kerta hai to Allh bhe us per inayat farmata hai.
(Bukhari#4398)
Subscribe to:
Posts (Atom)
